SIMAA E Hadees KE LIYE SAFAR:-
Mashaaikh Bukhara se taqreeban 6 saal istefada kar lene ke baad
210 hijri me jabke aap ki umar 15 ya 16 saal ke qareeb thi aap apni Walida Mohtarma
aur bhai Ahmad ke hamraah Makkah Mukarrama tashreef le gaye, Hajj e
Baitullah ki sa’aadat haasil ki, Walida aur bhai wapas Bukahra aagaye aur Imaam
Bukhari rah Wahin Husool-e- Ilm me mashghool hogaye, Makkah Mukarrama me 2 sal
Qiyaam farmaya aur yahan ke mashhoor Muhaddiseen Maslan Abu Abdur Rahman Almuqri rah(Tilmeez
Imaam Abu Hanifa rah) Hisaan Bin isaan Basrai rah, Abul Waleed Ahmad Bin Azraqi rah aur Imaam Humaidi rah se
istefada kiya Makkah Mukarrama ke arbabe Ilam se tehseele Kamaal ke bad 212
hijri me jabke Aap ki umar Mubarak 18 saal thi , aap Madina Munawwara rawaana
huwe yahan aap ne Abdul Azeez Bin Abdullah Owaisi rah, Ayyub Bin Suleman Bin Bilaal,
Ismail Bin Abi Owais Rah aur in ke ilawa digar Muhaddiseen se istefada kiya.(SIYAR
A’LAAMUN NUBALA 12/395)
Harmin Sharifain ke ilawa
Talab e Hadees Ke silsele me Aap SHAAM, IRAN, IRAQ, MISR, JAZEERAH Waghaira Mumalik
e Islamiya Tashreef le gaye aur Wahan ke Muhaddiseen se Ahadis e Mubaraka hasil
ki, Khud Aap ka apna bayan Hai
Tarjuma: Mai Shaam , Misr aur Jazira 2 martaba gaya, Basrha 4 Martaba
Gaya, Hijaaz e Muqaddas me 6 saal muqeem raha aur Kufa O Baghdad Me Muhaddeseen
ke sath mujhe Kitni Martaba Jana pada ye to mai Suhmar bhi nahi kar sakta.
(HADYUS SAARI 478)
No comments:
Post a Comment