Basrah:-
(Basrah) me Aap ne Imaam Abu Asim AlNabeel rah .(Tilmiz Imaam
Abu Hanifa Rah ), Muhammad Bin Abdullah Ansari rah( Tilmiz Imaam Abu Hanifa
rah.) Abur Rahman Bin Hammad Ashshuaeesi Rah , Mohammad bin UrUrah rah, Hajjaj
bin Minhal rah , Badal Bin Muhabbar rah , Abdullah Bin Rajaa’ rah, Safwan Bin
Isa Rah , Hurmi Bin Ammara Rah, Affan Bin Muslim Rah, Suleman Bin Harb rah, Abu
Alwaleed Attayaalsi rah (Tilmiz Qazi Abu Yusuf rah ) ,Muhammad Bin Sinaan rah .Waghairah
Muhaddiseen ee Ahadees Hasil Kin.
KOOFAH:-
(Koofah me) Ubaidullah Bin Musa rah (Tilmiz Imaam Abu Hanifa rah
), Abu Nuaim Fazal Bin Dukeen Rah (Tilmiz Imaam Abu Hanifa rah .) ,Khalid Bin
Makhullad Rah , Talq Bin Ghannam rah, Khalid Bin Yazid AlMuqri Rah, Ahmad Bin
Yaqub rah , Ismail Bin Aban Rah, Hasan Bin Rabi Rah , Sayeed Bin Hafs Rah, Umar
Bin Hafs Rah, Urwah Rah, Qubaisa Bin Uqbah rah, Abu Ghassan Rah waghaira
Muhaddesin Se Ahadees Hasil Ki.
Baghdad:-
(Baghdad me) Me Aap ne Imaam Ahmad Bin Hambal Rah .(Tilmiz Qazi
Abu Yusuf rah) Mohammad Bin Sabiqu Rah, Mohammad Bin Isa Bin Tabbaa’ rah, Suraij
Bin Noman Rah Waghaira Muhaddiseen se Istefada kiya (Siyar A’laamun Nubala
12/394, Tehzeeebul Asmaa 1/72)
Imaam Zahbi Rah ka kehna
hai ke Hazrat Imaam Bukhari rah ne Majmooi taur Par Ek hazar Assi (1080)Mashaikh
Se Hadis ka Simaa’ kiya(Siyar A’laamun Nubala 12/395).
Yaad rahe ki Simaa’ -E- Hadees Aur Talab e Ilm ke In safron me
Imaam Abu Hafs Kabeer rah Hanafi ke Sahabzade Imaam Abu Hafs Sagheer rah Hanfi(264)
Imaam Bukhari Rah ke rafeeqe e Dars Aur hamsafar rahe Chunanche Imaam Zahbi rah
tehreer farmate hai :
و رافق البخاري في الطلب المدة
Tarjuma : Imaam Abu Hafs Sagheer rah Talab e Ilm me ek muddat
tak Imaam Bukhari rah ke rafeeq -e- safar rahe (Siyar A’laamun Nubala 12/618)
Tambeeh:-
Qaraeen -e- Muhtaram Hazrat Imaam Bukhari rah ke ibtedai Haalaat
, Talab e ilm aur Simaa’ e Hadees ke liye safar se do baten Khul kar hamare
samane tai hai.(contd insha Allah)
No comments:
Post a Comment