Tuesday, 10 September 2013

IMAM BUKHARI KE TALIB E ILMI KE DAURAN ZIHANAT KE CHAND WAQIAAT

Ek martaba Saleem Bin Mujahid, Muhammad bin Salam Bekandi rah ke pass tashreef laye to aap ne un se farmaya agar tum zara der pehle aajate to aisa ladka dekhte jise 70,000 Hadeesen yad hai. Saleem Bin Mujahid rah ka bayan hai ke mujhe yeh sun kar badi hairat hui aur mai us ladke ki talash me nikla mulaqat hui to maine kaha tum ko 70,000 ahadis ke yaad hone ka dawa hai, is par aap ne farmaya beshak mujhe is qadar balki is se bhi zyada yaad hai ,Sirf Ahadees hi par kyy munhasir hai silsila-e- Sanad me tum jis ke mutalliq bhi poochoge un me se aksar ki jaaye sukonat aur Tareekh e wafaat ka bhi pata de sakta hun aur apne riwayat karda aqwaal -e- Sahaba o Tabaeen ke bare me  bhi batla sakta hu ki wo kin kin aayat o ahadis se makhuz hai (SIYAR A’LAAMUN NUBALA 12/417)
Ek martaba Aap k ustad Muhammad Bin Salaam Bekandi rah ne aap se farmaya: “Tum meri tasaneef ko ek martaba apne mutala’ se nikal do aur is me jaha galti ho uski islah kar do, kisi ne bade Ta’jjub se pucha ki ye ladka kaun hai? Jiska matlab ye tha ki aap Imamul Asr hokar bhi usse apni islah ke liye keh rahe hai, Imam Bekandi rah ne kaha ki: iska koi saani o muqabil nahi hai (Tehzeebul Kamaal 22/459).
 Bukhara me Muhaddis Daakhili rah ka Halqa-e- Dars bhi Qayam tha. Imaam Bukhari rah aap ke halqe Dars me bhi jaya karte the. Ek din aisa hua ke ustad mohtaram ne sanad bayan karte huwe

سفيان عن ابي الزبير عن ابراهيم

 farmaya , aap ne arz kiya ki sanad is tarah nahi hai kyun ki ABU ZUBAIR (ابي الزبير)ne Ibrahim (ابراهيم) se riwayat nahi ki, Muhaddis Dakhili rah ne Imam Bukhari rah ko Tifl e Na amooz samajh kar daant diya lekin aap ne Adab se arz kiya ki agar aap ke pass asal ho to Muraaja’at farmalen . muhaddis  Dakhli rah uthe aur apni jagah ja kar kitab nikali Imaam Bukhari rah ki bat durust thi wapas aye aur farmaya : Ladke asal sanad kis tarah hai ? Imaam Bukhari rah ne kaha الزبير و هو ابن عدي عن ابراهيم, Ustad ne Imaam Bukhari rah se Qalam le kar apni Kitab ko durust kiya aur farmaya tum ne sach kaha kisi ne Imaam Bukhari rah se pucha ki jis waqat ye waqiya pesh aya us waqt aap ki umar kitni thi ? Farmaya 11 saal. (SIYAR A’LAAMUN NUBALA 12/393)

No comments:

Post a Comment