Sunday, 8 September 2013

Tehseel-e- Ilm

Tehseel-e- Ilm :-
Imam Bukhari rah ki tehseel-e- Ilm Ka zamana bachpan hi se shuru hota hai. Ibtedai Taleem me Hadees ke sath sath Ilm w fiqh ki taraf tawajjo ki aur Imaam Wakee’ rah aur Hazrat Abdullah bin Mubarak rah jaise ustaad e fann ki tasnifaat ka mutala’ kiya aur un kitabo ko azbar kar liya .(Siyar A’laamun Nubala safha 393) Apne watan Maloof hi me Imaam Abu Hafs Kabeer rah se “JAME’ SUFIYAN” ka simaa’ kiya chunanche khateeb Baghdadi ba sanad naqal karte hai - Mohammad Bin Ismail Bin Mugheera Jo’fi (Imaam Bukhari rah) ne bayan kiya ki mai Abu Hafs (Kabeer )rah  Ahmad Bin Hafs ke pass Jame sufiyan ka samaa’ apne walid ki kitab me kar raha tha ki wo ek harf se guzre jo mere yaha na tha maine un se muraja’at ki unhone dubara wahi batlaya mai ne dubara muraja’at ki fir unhone wahi batlaya aakihr me teesri dafa muraja’at ki to zara chup rahe aur daryaft karne lage ki ye kaun hai ? logo ne kaha ki Ismail Bin Ibrahim Bin Bardizbah ka ladka hai farmane lage is ne Saheeh batlaya, yaad rakkho ye ladka ek din mard-e- Maidan banega . (Tareekh e Baghdad 2/11)
Imaam Bukhari rah bachpan me aksar Imaam Abu Hafs Kabeer rah ki khidmat me ate jate rahte the. Ek  dafa Imaam Abu Hafs rah ne farmaya
“Ye jawaan nihayat hi Aqalmand hai mujhe ummed hai ki age chal kar is ki badi shohrat aur charcha hoga . (SIYAR A’LAAMUN NUBALA 12/425)

Qalandar har cah goyed deeda goyed k misdaq Imaam Bukhari rah ki waisi hi shohrat huwi jaise ki un ke ustad Imaam Abu Hafs rah ne peshangoi farmai thi .Imaam Abu Hafs Kabeer rah ko chunki Imaam Bukhari rah ke walid se gehra talluq tha is bina par aap ko Imaam Bukhari rah se bhi Fitri taur par talluq raha .
Ek martaba Imaam Abu Hafs Kabeer rah ne Imam Bukhari rah ko is Qadar maal e tijarat bheja jis ko baaz tajiron ne 5000 ke nafey se un se khareeda aur baaz tajir is se bhi dugne nafe par wo maal lene ko tayyar teh .Lekin Imaam Bukhari rah ne apne irade ko badalna pasand nahi farmaya (HADYUS SAARI 479)
 Allama Mizzi rah ne Imaam Abu Hafs rah ko Imaam Bukhari rah k mashaekh me shumar kiya hai (Tehzeebul Kamaal 24/433)
 Isi Arse me Imaam Bukhari rah ne un tamam shuyookh e Bukhara se Ahadis ka zakhira jama kar liya jo us waqt mumtaz Muhaddis suhmar kiye jate the aur jinki darsagaahen Taalibeen e Hadees ke liye markaz thi. Un shuyookh me Muhammad Bin salam Bekandi (Mutawaffi 225 hijri) Abdullah Bin Muhammad Masnadi (meem 229 hijri) aur Haroon bin Ash’as ke asmaa’ Qaabil-e- Zikr hain.

Imaam Bukhari rah nau umri hi me Ilm e Hadees me us martabe o muqam par faiz hogaye the ki bade bade asatezah aap se mar’oob hojate the aur aap ke shareek dars hone se sambhal jate the ke kahin koi laghzish na hojaye. Allama Bekandi rah ne to ye bhi farmaya hai ki Muhammad Bin Ismail ke aajane se mujh par aalam-e- tahayyur tari ho jata hai aur mai unki wajah se ahadis bayan karte huwe darta hun (SIYAR A’LAAMUN NUBALA 12/417)

No comments:

Post a Comment