Tambeeh:-
Qaraeen -e- Muhtaram Hazrat Imaam Bukhari rah ke ibtedai Haalaat
, Talab e ilm aur Simaa’ e Hadees ke liye safar se do baten Khul kar hamare
samane tai hai.(contd insha Allah)
??
1. Awwal:
Ye ke Ahnaf ke Hazrat
Imaam Bukhari rah se nihayat Behtar Ta’lluqaat the, Chunanche Imaam Abu Hafs Kabeer
Rah ki Imaam Bukhari rah ke walid Ismail Rah Se akheer Waqt tak Dosti rahi,
Imaam Bukhari rah, Imaam Abu Hafs Kabeer Rah ke Halqa-e- Dars me Shareek hote
rah,e Aap Se “Jame Sufyan” ka simaa’
kiya, Imaam Abu Hafs Kabeer Rah ki Aap par Bharpoor Tawajjah Rahi aap ne Imaam Bukhari
rah ki Shorat ki pesh goi farmai Jis ka Zuhoor Dunya ne dekha. Aap Imaam Bukhari
rah ki Maali Muawanat(help) farmate rahe, Aap ke sahabzade Imaam Abu Hafs Sagheer
rah jin ke bare me Imaam Zahbi Raqamtaraz hain .
كان ثقة اماما ورعا زاهدا ربانيا
صاحب سنة و اتباع(سير اعلام النبلاء12/216)
Tarjuma . Aap Siqah the, Imaam the, Nihayat parhezgar the, Zahid
the, Aalim-e- Rabbani the, aur nihayat Muttabe’ Sunnat the .
Ye Hazrat Imaam Bukhari
rah ke Muddat e Madeed Tak Talb-e- Ilm me Rafeeq e safar rahe. Hazrat Imaam Abu Hafs Kabeer rah (mutawaffi 217 hijri
) aur Hzrat Imaam Abu Hafs Sagheer rah (mutawaffi 264 ) dono kibaar-e- Ahnaf
me se the . Bukhara me Ahnaf ki riyaasat -e- Ilmi Aap Hazraat par kahtam thi.
Hazrat Imaam Bukhari rah ne
tehseel-e- Ilm ki Ibteda me Hazrat Imaam Waqee’ rah, Hazrat Abdullah Bin
Mubarak rah ki Kitabe Azbar kar li the Aur Jame sufiyan rah ka simaa’ kiya tha, Ye kitaben Fiqh Hanafi par mushtamil thin Kyun
keh Hazrat Imaam Waqee’ rah aur Hazrat Abdullah Bin Mubarak rah dono Hazrat
Imaam Abu Hanifa Rah ke Arshad talamiza me se hai aur Hanafi hain . imam Sufyan Sauri rah, Imaam Abu Hanifa rah ki Majlis-e-
Dars me haazir Huwe Hai aur Un se Hadis riwayat ki hai. Albatta Imaam sahab
rah ki fiqh unhone Ali Bin Mishar rah(mutawaffi 189 hijri) se haasil ki
hai Jo Imaam Abu Hanifa rah k Mukhtas talamizah me se shumaar kiye jate hain,
Imaam Sufiyan Sauri rah ne Apni Jaame’ ki tasneef me bhi ziyada tar un hi se
madad li hai. chunanche Yazeed bin Harun Rah (mutawaffi 204 hijri.)
farmate hain
كان سفيان ياخذ الفقه عن علي بن
مسهر من قول ابي حنيفة و انه استعان به وبمذاكرته علي كتابه هذا الذي سماه الجامع.(مقدمه كتاب التعليم مسعود بن شيبة ص133)
Tarjuma : Sufiyan Sauri rah Imaam Abu Hanifa rah ki fiqh ko unhone
Ali Bin Mishar rah se hasil karte the aur Un
hi ki madad aur Muzakare se unhone ye kitab Jis ka naam JAAME’ rakha hai
Tasneef ki hai.
DUWWAM(2): Ye kE Imaam Bukhari
Rah Harmain Sahreefain ke safar ke baad
IRAQ tashreef le gaye aur wahan
Basrah, Koofah aur Baghdad waghaira ke Muhaddesin se Ahadis Hasil ki, Aap ka
Qaul piche guzar chuka hai ki mai Basra 4 Martaba gaya Aur Kufa aur Bagdad ko
Itni martaba jana hua ki Shumar bhi nahi kiya jasakta, Isse sabit hota hai ki
Imaam Bukhari rah ke nazdeek Mulk e Iraq ki Ilm-e- Hadis ke Hawale se bahut
Ahamiyat thi .Aur wahan ke Muhaddeseen ko Intehai Qabil-e- Aetemad samajhte the
. Aap ne wahan ke Muhaddeseen se jinme Bahut se Imaam Abu Hanifa rah aur unke
Talamiza Qazi Abu Yusuf Rah aur Imaam Muhammad Rah ke Shagird aur thait Hanafi the
. Unse Ahadis e Mubaraka Hasil ki Aur unko Is Qadar Ahmiyat di ki Apni Aham
Tareen kitab Bukhari Shareef me jagah jagah zikr farmaya.
contd insha Allah.
No comments:
Post a Comment